safar se kis ko mafar hai lekin ye kyā ki bas reg-zār aa.eñ
kahīñ koī sā.ebān bhī de ki gard-e-vahshat utaar aa.eñ
ye ḳhushk-sālī ki muddatoñ se chaman meñ aa kar pisar ga.ī hai
kabhī to naḳhl-e-murād jhūme kahīñ to kuchh barg-o-bār aa.eñ
zamīñ ki gul-posh bhī rahī aur falak pe qaus-e-quzah bhī jhūmī
maze maze kī vo sā.ateñ thiiñ chalo ye din bhī guzār aa.eñ
idhar ye dil hai ki us ko bas ik junūñ kī dhun hai junūñ kī dhun hai
udhar hamārā ye azm-e-paiham ki zulf-e-gītī sañvār aa.eñ
ye sun ke dekheñ ki koī apnoñ ko kaise āḳhir pukārtā hai
chalo ki apnā hī naam 'rāshid' kisī kueñ meñ pukār aa.eñ