Wali Uzlat

agar main moajaze ko KHaksari ke ayan karta

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
agar maiñ mo.ajaze ko ḳhāksārī ke ayaañ kartā
bagūle sā banā aur hī zamīñ o āsmāñ kartā
mujhe haq gulshan-e-ījād kā gar bāġhbāñ kartā
to ashk-e-bulbuloñ ko ābyār-e-gulistāñ kartā
gila dil-e-saḳhtī-e-ahbāb kā gar maiñ bayāñ kartā
sadaf sā pal meñ aañsū uqda-e-dil ke ravāñ kartā
jo dīvān-e-qazā kī peshkārī haq mujhe detā
to reshe sarv ke mizhgān-e-chashm-e-qumriyāñ kartā
ḳhudā gar ḳhāna sāmān-e-qazā kartā ye 'uzlat' ko
to parvānoñ kī raakh ai sham.a sub.h-e-āsmāñ kartā
Top Urdushayar.com