maġhz-e-bahār is baras us bin bachā na thā
chīn-e-jabīñ bin ek gul ab kī hañsā na thā
jab lag meñ sub.h hsun-e-butoñ se milā na thā
dil ho.e gul sā haat se mere gayā na thā
kyā kī vafā ki mauj-e-guhar sā hai sar se band
ḳhanjar juz ek dam kā mirā āshnā na thā
jā kar fanā ke us taraf āsūda maiñ huā
maiñ ālam-e-adam meñ bhī dekhā mazā na thā
is yār-e-kārvānī ke vaqt-e-vidā.a haa.e
be-nāla ek ashk mirā juuñ darā na thā
hote hī jalva-gar tire ai āftāb-rū
siine meñ jaise shabnam-e-gul dil rahā na thā
muñh moḌ but-kada se haram ko chalā hai shaiḳh
'uzlat' magar hai ka.abe hī meñ yahāñ ḳhudā na thā