phūñk de hai muñh tirā har sāf-dil ke tan meñ aag
sāmne ḳhurshīd ke lagtī hai jo darpan meñ aag
tujh se ai bulbul ziyāda gul meñ hai tāsīr-e-ishq
dil meñ ḳhuuñ lab par hañsī hai us ke pairāhan meñ aag
ahl-e-zar sāz-e-ra.ūnat se hoveñge dozaḳhī
Dālte haiñ sham.a kī avval rag-e-gardan meñ aag
kohkan laala se ḳhuuñ terā hai joshāñ ba.ad saal
be-sutūñ ke dekh daa.em hai bharī dāman meñ aag
soz-e-hijr-e-kānhā se jo sāñvlā thā 'uzlat' aah
dāġhdār āḳhir lagī Tesū ke bindrāban meñ aag