abas toḌā mirā dil naaz sikhlāne ke kaam aatā
ye ā.īna thā us ḳhud-bīñ ko itrāne ke kaam aatā
jalāyā mus.haf-e-dil tū ne kyuuñ barq-e-taġhāful se
jo sach bolūñ tujhe jhūTī qasam khāne ke kaam aatā
na maltā ḳhaak meñ us gul ke ġham kā ashk agar merā
kasī bulbul ke shāyad aab aur daane ke kaam aatā
dil-e-sad-chāk kā shāna mirā TuuTā tire hāthoñ
vagarna zulf-e-dūd-e-āh suljhāne ke kaam aatā
liye 'uzlat' ke muue sar bayābāñ ke babūloñ ne
jo bachtā ye chañvar jārūb vīrāne ke kaam aatā