Wali Uzlat

tira-baKHton ko kare hai nala-e-ghamgin KHarab

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
tīra-baḳhtoñ ko kare hai nāla-e-ġhamgīñ ḳharāb
jis tarah ho jā sabā se kākul-e-mushkīñ ḳharāb
joñ nasīm-e-sub.h ġhunche gul ke sab barbād de
sard-mehrī se butoñ kī haiñ dil-e-rañgīñ ḳharāb
be-dimāġhī mat kar ai zālim ki juuñ mauj aur habāb
dil mirā kar de hai pal meñ abrū-e-pur-chīñ ḳharāb
juuñ jale hai sham.a kā musht-e-zar aur tasbīh-e-ashk
jis tarah sarkash kā hai duniyā ḳharāb aur diiñ ḳharāb
thā banā 'uzlat' vo jab faulād-dil parvez se
tab to teshe ne kiyā yuuñ ḳhāna-e-shīrīñ ḳharāb
Top Urdushayar.com