gar mere lahū rone kā bārān banegā
kūcha tirā rashk-e-chamanistān banegā
gar us qad-e-mauzūñ kā tamannā meñ asar hai
barjasta mirī bātoñ kā dīvān banegā
us zulf kī gar lail barāt aave mire haat
dil ke mire dāġhoñ kā charāġhān banegā
'uzlat' tū kar us zulf-e-pareshāñ se ye dil jam.a
zunnār kā shīrāza-e-qur.ān banegā