savāl guuñj ke chup haiñ javāb aa.e nahīñ
jo aane vaale the vo inqalāb aa.e nahīñ
ye kyā hazar ki safar kī zarūrateñ hī na hoñ
ye kyā safar ki kahīñ par sarāb aa.e nahīñ
vo ek niiñd kī jo shart thī adhūrī rahī
hamārī jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb aa.e nahīñ
duā karo ki ḳhizāñ meñ hī chand phuul khileñ
ki ab ke mausam-e-gul meñ gulāb aa.e nahīñ
mujhe to aaj ke karb o balā se fursat kab
tum un kī chaap suno jo azaab aa.e nahīñ