kar rahe haiñ mujh se tujh-bin dīda-e-namnāk jañg
dāġh-e-dil juuñ sham.a karte haiñ judā bebāk jañg
ishq par ġhālib rahā majnūñ vo tinke sā nahīf
ye vo jāgah hai ki sho.ale se kare ḳhāshāk jañg
na.iiñ dimāġh-e-hijr terā sham.a ke sho.ale kī tarah
khā ga.ī hai mujh ko gir kar mujh se apnī naak jañg
maiñ nahīñ shākī falak kā hijr ke ayyām meñ
mujh se juuñ sub.h apnī hī kartī hai jeb-e-chāk jañg
bādshāh-e-ishq ne mujh ko diye haiñ ye ḳhitāb
āfat-ul-mulk aur fanāuddaula 'uzlat'-ḳhāk-jañg