Wali Uzlat

ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
ai yaar mujh afsurada-e-hijrāñ ko pahuñch tū
ai rashk-e-masīhā tan-e-be-jāñ ko pahuñch tū
fariyād-kash ik bose kā huuñ tere laboñ se
ai surma misī ke mirī afġhāñ ko pahuñch tū
gar ātish-e-dil nāloñ kī sarsar se na sulge
mat sard ho dāmān-e-bayābāñ ko pahuñch to
bikhre haiñ sharar dil ke mire dūd-e-fuġhāñ meñ
apne hī sar-e-zulf-e-zar-afshāñ ko pahuñch tū
shāyad ki ho is bāġhī chaman miir kā manzūr
shabnam ho ke ai ashk gulistāñ ko pahuñch tū
gar chaah hai sarsabzī-e-baḳhtoñ kī divāne
atfāl ke pathrāv kī bārāñ ko pahuñch tū
pur-zañg hai ā.īna-e-dil hind se 'uzlat'
gar chāhiye saf haañ to safāhāñ ko pahuñch tū
Top Urdushayar.com