Wali Uzlat

bahaar aai junun lega hamara imtihan dekhen

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
bahār aa.ī junūñ legā hamārā imtihāñ dekheñ
namak degā dil-e-zaḳhmī ko shor-e-bulbulāñ dekheñ
siyā hai zaḳhm-e-bulbul gul ne ḳhaar aur bū-e-gulshan se
suuī taagā hamāre chāk-e-dil kā hai kahāñ dekheñ
hameñ dil-sozī hamesha yahāñ tak diin o īmāñ hai
ki jī jaltā hai jab ham bulbul-e-fasl-e-ḳhizāñ dekheñ
guzar jaatī hai dil se tiir ho kar yaad us qad kī
jahāñ ham-dosh-e-āshiq ham koī abrū-kamāñ dekheñ
humā se bach ke mujh majnūñ ko daulat ishq kī ho jo
sag-e-lailā kī qismat hoñge mere ustuḳhāñ dekheñ
chalā huuñ 'uzlat' ab sahrā bagūle kī ziyārat ko
milegā tauf ko majnūñ kā barbād āstāñ dekheñ
Top Urdushayar.com