Wali Uzlat

yar uTh gae duniya se aghyar ki bari hai

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
yaar uTh ga.e duniyā se aġhyār kī baarī hai
gul sair-e-chaman kar ga.e ab ḳhaar kī baarī hai
zāhid ne ibādat chhoḌ us zulf se uljhā hai
tasbīh kī shaiḳhī ga.ī zunnār kī baarī hai
us kākul-e-mushkīñ kī bū huī hai pareshāñ aa
sab shahr-e-ḳhutan luT ga.e tātār kī baarī hai
gulshan meñ ḳhirāmāñ ho ab burqa uThāyā hai
sab gir gayā sarvistāñ gulzār kī baarī hai
kar zaḳhmī nigāhoñ se ab dil pe uThāyā haath
nezoñ kī ga.ī naubat tarvār kī baarī hai
dil par haiñ jahāñ ke sab bāham kī kudūrat se
ā.īnoñ kī saafī ga.ī zañgār kī baarī hai
jhaḌ ga.e vo tabassum se gul ġhunche khaḌe haiñ sarv
tamkīñ ne chaman luuTā raftār kī baarī hai
un zulfoñ ke aqrab ne dil merā Dasā 'uzlat'
pīchhe paḌī hai choTī ab maar kī baarī hai
Top Urdushayar.com