gard-bād afsos kā jañgal se hai paidā hanūz
haat miltā mātam-e-majnūñ se hai sahrā hanūz
joñ sadaf hai garche āñkhoñ meñ sajan bastā hanūz
kholtā niiñ uqda-e-dil vo dur-e-yaktā hanūz
jab patā pūchhūñ maiñ ghar kā yaar harjā.ī setī
do dilā karne kuuñ kahtā hai mujhe jā jā hanūz
tauq-o-pech-e-zulf-e-laila hai baghole se ayaañ
ḳhāk-e-majnūñ se niyāz-o-nāz hai rusvā hanūz
garche misl-e-shabnam-e-gul dil diyā huuñ pī ke haat
vo rañgīlā kholtā niiñ uqda-e-sīmā hanūz
jān-e-shīrīñ se sharar tan meñ jalātā hai mudām
tā.in-e-kam-zarfī-e-farhād hai ḳhārā hanūz
dāġh-e-dil 'uzlat' ko juuñ laala hai bulbul bin bahār
un guloñ se jī kisī rañgoñ nahīñ lagtā hanūz