mausam-e-gul meñ haiñ dīvānoñ ke bāzār ka.ī
shor-e-bulbul ka.ī zanjīr kī jhankār ka.ī
sab ga.ī bū-e-muravvat kī kal is baaġh se haif
baare dāman-kash-e-dil rah ga.e haiñ ḳhaar ka.ī
kab lag ahbāb kā ġham mujh ko dikhāvegā falak
ḳhaak ho ga.e bahut aur haiñ so chalan-hār ka.ī
ai siyah-chashmo nahīñ kuchh mujhe gulzār se kaam
dāġh-e-lāla hī se rakhtā huuñ sarokār ka.ī
saḳht yāroñ kī kudūrat se huā huuñ be-dil
khā ga.e ā.īna-e-dil mirā zañgār ka.ī
mausam-e-gul meñ mire chāk-e-garebāñ ko dekh
phaaḌ ga.e pairahan-e-sabr rafū-kār ka.ī
din paḌe shola-ruḳhoñ bin mujhe juuñ dūd-e-charāġh
merī dil-sozī se jalte haiñ shab-e-tār ka.ī
jaldī avval kī hai par aabla paañv meñ mire
aur vo gul-rū kī rahe raah meñ ab ḳhaar ka.ī
sard-mehrī tirī ḳhuuñ garm hai az-bas mujh saat
haiñ rag-e-la.al-e-jigar nāla-e-ḳhūñ-bār ka.ī