ḳhamosh jhiil meñ girdāb dekh lete haiñ
samundaroñ ko bhī pāyāb dekh lete haiñ
zarā jo azmat-e-rafta pe harf aane lage
to ik bachī huī mehrāb dekh lete haiñ
uchaTtī niiñd se hāsil bhī aur kyā hogā
kaTe phaTe hue kuchh ḳhvāb dekh lete haiñ
hameñ bhī jur.at-e-guftār hone lagtī hai
jo un ke lahje ko shādāb dekh lete haiñ
safar kā azm to baaqī nahīñ rahā 'rāshid'
bas ab bañdhā huā asbāb dekh lete haiñ