Wali Uzlat

waqt bose ke mera munh uske lab se jun juDa

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
vaqt bose ke mirā muñh us ke lab se juuñ juḌā
gard-e-ġham huī dil meñ mīThī jaise shakkar kā puḌā
be-ziyā sūraj ke phirne se ho jaise aa.ina
nūr-e-jāñ dil se gayā juuñ us kā ruḳh mujh se muḌā
kyā balā pathrāv thiiñ us sañg-dil kī gāliyāñ
le gayā saarā thā shīsha dil kā meñ liyāyā tuḌā
baaġh meñ jaave vo vahshī-chashm agar mast-e-sharāb
nargis us uupar nisār-e-sīm-o-zar deve uḌā
in laboñ ke bose ke lālach meñ jaltā hai bahisht
sun le 'uzlat' kaan dhar kahtā hai huqqa guḌguḌā
Top Urdushayar.com