hue ham jab se paidā apne dīvāne hue hote
ḳhudā ko ham pahuñchte ḳhud se begāne hue hote
mazā raushan-dillī kā zindagānī hai tajarrud se
ham apne misl shabnam aab aur daane hue hote
muue ham intizār-e-nashsha se ḳhoshoñ ke jā yārab
huvaidā taak se pur-bāda paimāne hue hote
hoveñge ḳhaak vus.at mashrabī kī rah ga.ī hasrat
ham avval hī se misl-e-dasht vīrāne hue hote
rahe duniyā meñ be-aish aur shuhūd-e-haq se uqbā meñ
hue zuhhād kor ai kaash ke kaane hue hote
mai-e-irfāñ kā zarf aadam hī ko thā gar malak dete
to saat iblīs ke sargarm yārāne hue hote
abas tum munzavī masjid meñ ho zuhhād kyā hāsil
vo sāhab etakāf-e-kunj-e-maiḳhāne hue hote
hue mastoñ pe gar teġh-e-zabāñ-zan shaiḳh sheḳhī meñ
jo apne nafs-parvar hote mardāne hue hote
agar sad-chāk ho haat us ke lagte aish thā 'uzlat'
dil-e-ushshāq saare kaash ke shāne hue hote