Wali Uzlat

nayan mein KHun bhar aaya dil mein Khaar-e-gham chhupa shayad

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
nayan meñ ḳhuuñ bhar aayā dil meñ ḳhār-e-ġham chhupā shāyad
huā is dam vo teġh-abrū kisī se āshnā shāyad
gale lagtā thā har gard-e-havā-āvurd se majnūñ
ki ḳhāk-e-kūcha-e-lailā le aa.ī ho sabā shāyad
qayāmat pā-namak hai ġhul divānoñ kā gulistāñ meñ
unhoñ ke zaḳhm-e-dil par shor-e-bulbul jā girā shāyad
hamāre haath ik mū ga.ī na.iiñ aur pech khātī hai
vo dām-e-zulf meñ taaza shikār-e-dil phañsā shāyad
bahut muñh par vo zulfeñ aaj bikhrātā hai ai 'uzlat'
vo gāloñ par kisī kā zaḳhm-e-dandāñ hai lagā shāyad
Top Urdushayar.com