ḳhat ne aa kar kī hai shāyad rahm farmāne kī arz
tab tū ab suntā hai hañs kar mujh se dīvāne kī arz
shām-e-ġhurbat ham se majrūhoñ kī hai fariyād-ras
zulf kī chhātī phaTī hai sunte hī shāne kī arz
bosa-e-lāl-e-butāñ jo le so ho be-ābrū
itnī hī ḳhidmat meñ mastoñ kī hai paimāne kī arz
gosh-e-gul meñ sab phaphūle paḌ ga.e shabnam ke haath
aag thī bulbul kī fariyādoñ ke afsāne kī arz
fasl-e-gul aate hī 'uzlat' dil zabān-e-āh se
merī ḳhidmat meñ kare hai dasht meñ jaane kī arz