vo kyā din the jo qātil-bin dil-e-ranjūr ro detā
mirā har zaḳhm juuñ vo teġh hotī duur, ro detā
ajab Dhorī-lagan merī kī thī us sham-e-sarkash ko
ki merā dekhtā jab ijz vo maġhrūr ro detā
hamāre shahr-e-dard-ābād meñ lohū ke aañsū se
vahāñ kā daar jab suulī diyā mansūr ro detā
misāl-e-sub.h shabnam-rez jo sūraj kā burqa hai
chhiḌaktā jab vo mere dāġh-e-dil par shuur ro detā
jo hotī vo palak-nashtar sahāb-e-chashm kī rag par
mire sailāb-e-ashk aage nadī kā puur ro detā
na niklā ghar se varna na.ash merī ḳhāk-e-rāh uupar
paḌī gar dekhtā 'uzlat' vo rashk-e-hūr ro detā