Wali Uzlat

gul rahe nahin nam ko sarkash hain Khaaran al-ayaz

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
gul rahe nahiñ naam ko sarkash haiñ ḳhārāñ al-ayāz
khaTke hai āñkhoñ meñ ye suunā gulistāñ al-ayāz
ḳhaak sar par kar bagūle se ġham-e-majnūñ meñ haa.e
phāḌtā hai dāman-e-sahrā garebāñ al-ayāz
bas-ki har kāñTe se dil chhed ek bulbul mar rahe
ho gayā gulshan ḳhizāñ meñ bulbulistāñ al-ayāz
Dālte haiñ ahl-e-duniyā ḳheme ab sahrā ke biich
faut-e-majnūñ se hai be-vāris bayābāñ al-ayāz
nikle hai jeb-e-junūn-e-sub.h se juuñ āftāb
daaġh hai chākoñ se uzlat kā garebāñ al-ayāz
Top Urdushayar.com