jab tan na rahā merā huuñ vāsil-e-jānāna
dīvār ke girne se ham-sāyā ho ham-ḳhāna
ā.īne meñ dekh aa kar muñh apnā ai jānāna
tā-qadr mirī jaane kaash apnā ho dīvāna
us zulf meñ ka.ī din se betābī-e-dil gum hai
zanjīr jhanaktī na.iiñ kyā mar chukā dīvāna
bijlī mire naale kī juuñ chamke to muuñd āñkheñ
ai āshnā aage tū itnā na thā begāna
dil sharm-e-mohabbat se tar hai tū na pher āñkheñ
kyūñkar pise chakkī meñ bhīgā huā hai daana
'uzlat' gayā āñkhoñ se is vāste jī us kā
hai sham.a kī chashm-e-tar turbat-gāh-e-parvāna