Wali Uzlat

tere lab-bin hai dil mein shola-zan mul jis ko kahte hain

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
tire lab-bin hai dil meñ shola-zan mul jis ko kahte haiñ
nashe kī maut kī hichkī hai qulqul jis ko kahte haiñ
jo pūchhe ittihād-e-husn-o-ishq us ko nazar aave
ki niklā baiza-e-ġhuncha se bulbul jis ko kahte haiñ
ai maalī ḳhārij āhañgī na kar sāz-e-mohabbat meñ
dil-e-bulbul hai TuuTā ḳhuuñ huā gul jis ko kahte haiñ
guzarne kā sabab hai zindagī ke aab se piirī
qadam ḳham hai muhīt-e-umr kā pul jis ko kahte haiñ
bajā hote haiñ 'uzlat' dil kabāb in ishq-bāzoñ ke
dhuāñ hai husn kī ātish kā kākul jis ko kahte haiñ
Top Urdushayar.com