bhale din aa.eñ to aane vaale bure dinoñ kā ḳhayāl rakhnā
tamām ḳhushiyoñ ke jamghaToñ meñ bhī thoḌā thoḌā malāl rakhnā
vo jā rahā ho to vāpsī ke tamām imkān jaan lenā
jo lauT aa.e to kaise guzrī ye us se pahlā savāl rakhnā
agar kabhī yuuñ lage ki sab kuchh añdherī rātoñ ke daao par hai
to aisī rātoñ meñ Dar na jaanā to chāñd yādeñ ujaal rakhnā
faqat tasanño faqat takalluf tamām rishte tamām naate
to kyā kisī kā ḳhayāl rakhnā to kyā ravābit bahāl rakhnā
yuuñ hī akele rahā kiye to udaas hoge nirāsh hoge
jo āfiyat chāhte ho 'rāshid' to chand rishte sambhāl rakhnā