fasl-e-gul meñ na.iiñ baghūle uThte vīrānoñ ke beach
ḳhaak dīvānoñ kī vajdī hai bayābānoñ ke beach
vo jalā majnūñ ke dil kā ko.elā aatī thī phūñk
varna laila kaahe ko jaatī bayābānoñ ke beach
jaise girheñ de koī zunnār kā sub.ha banā.e
pur hai kufr-e-ishq tyuuñ īmān ke dānoñ ke beach
pur haiñ mushk-e-tīr-baḳhtī se mirī sab dil ke ghaav
jis tarah laTke hai zulf-e-dil-barāñ shānoñ ke beach
ruuh merī bhī nahīñ chhoḌegī rañg-e-sair-e-bāġh
juuñ bharī rahtī hai bū-e-gul gulistānoñ ke beach
fasl-e-gul aa.ī ki zanjīroñ ke sar par naale kar
naach uThe dīvāne dastak de ke zindānoñ ke beach
laal ho ishrat se juuñ gul hañs uThe haiñ mere gosh
yaar ke aane kī juuñ pahuñchī ḳhabar kānoñ ke beach
har suḳhan ko faḳhr hai 'uzlat' tavajjoh se mirī
huuñ imām-e-vaqt dillī ke suḳhan-dānoñ ke beach