Wali Uzlat

ghuncha-e-dil mera kha kar gul-e-KHandan mera

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775
ġhuncha-e-dil mirā khā kar gul-e-ḳhandāñ merā
bū-e-gul sā hai uḌātā mujhe jānāñ merā
apnī garmī se barishta huā husn-e-ruḳh-e-yār
lāla-rañg ātish-e-gul se hai gulistāñ merā
kabhū guzrā thā koī ābla-pā dekh vafā
rove ab lag hai lahū ḳhār-e-bayābāñ merā
ishq ḳhurshīd-ruḳhoñ se jo kiyā maiñ ne junūñ
daaġh juuñ sub.h huā chāk-e-garebāñ merā
kīmiyā husn kī hai muñh to zarā us ko lagā
jām-e-mai se bhī gayā kyā dil-e-giryāñ merā
chor kar dil ko ināyat kiyā sañgīñ dushnām
shīshe ko toḌ ke patthar diyā tāvāñ merā
qatl-e-'uzlat' se na munkir ho ki gul ke mānind
lab pe hañstā hai tire ḳhūn-e-numāyāñ merā
Top Urdushayar.com