Wali Uzlat

dilon mein rahiye jahan ke wale KHuda ke Dhab

Wali Uzlat

Surat, Gujarat, India

1692-1775

diloñ meñ rahiye jahāñ ke vale ḳhudā ke Dhab

ki ho jahāñ pe na zāhir ye hai mirā maz.hab

mujhe ġharaz nahīñ juz ye ki yaar naala se

asar jalāve hai juuñ dūd-e-shola yā-rab

kahā maiñ raat patañgoñ ko sham.a ke aage

giro ho aañkh meñ ma.ashūq ye kyā hai adab

to kahne laage ai 'uzlat' mire se ishq ke na.iiñ

nazar meñ pās-e-adab ham ko jalnā hai matlab

hamārī rākheñ jo le sabā so ho kar sub.h

jaleñ haiñ shola-ḳhurshīd par ye dekh ta.ab

jalse hai raakh kahīñ ishq hai ye e.ajāz

ajab ye cash hai naam halāk yahāñ hai tarab

kahā maiñ tum kuuñ hai rāhat sa.ī jalnā jald

ġhamoñ se chhūTnā aur shohrat us se hai matlab

asar hai ishq tum se ziyāda sham.a ke biich

ki umr us ka.ī jalte so bhī jāñ-bar-lab

Top Urdushayar.com