be-makāñ mere ḳhvāb hone lage
ratjage bhī azaab hone lage
husn kī mahfiloñ kā vazn baḌhā
jab se ham bāryāb hone lage
hai ajab lams un ke hāthoñ kā
sañg-reze gulāb hone lage
ab pighalne lage haiñ patthar bhī
rābte kāmyāb hone lage
merā sach bolnā qayāmat thā
kaise kaise itaab hone lage
zikr thā un kī bevafā.ī kā
aap kyuuñ aab aab hone lage
pur-sukūñ hijr sā.ateñ dekhūñ
vasl lamhe azaab hone lage
ham bhī kahne lage haiñ raat ko raat
ham bhī goyā ḳharāb hone lage
kuchh zabāñ se nikal gayā thā yūñhī
kyuuñ ḳhafā aañ janāb hone lage
ai 'zakī' mujh ko mil ga.ī me.arāj
mere sher intiḳhāb hone lage