nuur ye kis kā basā hai mujh meñ
raushnī had se sivā hai mujh meñ
harf-e-haq kī sī sadā hai mujh meñ
kaun ye bol rahā hai mujh meñ
kis ne dastak dar-e-dil par dī hai
shor ye kaisā bapā hai mujh meñ
roz suntā huuñ maiñ hañsne kī sadā
kaun ye mere sivā hai mujh meñ
kyā milegī mire fan kī mujhe daad
kuchh ziyāda hī anā hai mujh meñ
mustaqil ek khaTak ruuh meñ hai
ḳhaar ban kar vo chubhā hai mujh meñ
aap taslīm kareñ yā na kareñ
aap sā koī basā hai mujh meñ
merā ham-zād hai 'tāriq' sāhab
jo 'zakī' ban ke chhupā hai mujh meñ