Zaki Tariq

simTe hue jazbon ko bikharne nahin deta

Zaki Tariq

Baghpat, Uttar pradesh, India

1952
simTe hue jazboñ ko bikharne nahīñ detā
ye aas kā lamha hameñ marne nahīñ detā
qismat mirī rātoñ kī sañvarne nahīñ detā
vo chāñd ko is ghar meñ utarne nahīñ detā
kartī hai sahar zard gulāboñ kī tijārat
meyār-e-hunar zaḳhm ko bharne nahīñ detā
bādal ke sivā kaun hai hamdard rafīqo
tirshūl sī kirnoñ ko bikharne nahīñ detā
āñkhoñ ke darīche bhī 'zakī' us ne kiye band
sūraj ko samundar meñ utarne nahīñ detā
Top Urdushayar.com