Zaki Tariq

mere KHwabon ka kabhi jab aasman raushan hua

Zaki Tariq

Baghpat, Uttar pradesh, India

1952
mere ḳhvāboñ kā kabhī jab āsmāñ raushan huā
rahguzār-e-shauq kā ek ik nishāñ raushan huā
ajnabī ḳhushbū kī aahaT se mahak uTThā badan
qahqahoñ ke lams se ḳhauf-e-ḳhizāñ raushan huā
phir mire sar se tayaqqun kā parinda uḌ gayā
phir mire ehsās meñ tāza-gumāñ raushan huā
jaane kitnī gardanoñ kī ho ga.iiñ sham.eñ qalam
tab kahīñ jā kar ye tiira ḳhāk-dāñ raushan huā
shahr meñ zindāñ the jitne sab munavvar ho ga.e
kis jagah dil ko jalāyā thā kahāñ raushan huā
jal gayā jab yaas ke sholoñ se saarā tan 'zakī'
tab kahīñ ummīd kā dhundlā nishāñ raushan huā
Top Urdushayar.com