Zaki Tariq

darida-jaib gareban bhi chaak chahta hai

Zaki Tariq

Baghpat, Uttar pradesh, India

1952
darīda-jaib garebāñ bhī chaak chāhtā hai
vo ishq kyā hai jo dāman ko paak chāhtā hai
mire ġhamoñ se sarokār bhī vo rakkhegā
merī ḳhushī meñ javāb ishtirāk chāhtā hai
phir aaj shart lagā.ī hai dil ne vahshat se
phir aaj dāman-e-ehsās paak chāhtā hai
vo tañg aa ke zamāne kī sard-mehrī se
ta.alluqāt meñ phir se tapāk chāhtā hai
tamām umr rahā ḳhud tabāh-hāl magar
nasīb bachchoñ kā vo tābnāk chāhtā hai
ajiib nazroñ se taktā hai vo dukānoñ ko
ġharīb bachchī kī ḳhātir frock chāhtā hai
baġhair ḳhuun kiye dil ko kuchh nahīñ miltā
koī bhī fan ho 'zakī' inhimāk chāhtā hai
Top Urdushayar.com