Athar Aziz

sisakte phulon ka koi bhi dard-mand nahin

Athar Aziz

Cuttack, Odisha, India

1944
sisakte phūloñ kā koī bhī dard-mañd nahīñ
mahak se pyaar hai ma.asūmiyat pasand nahīñ
chalo to ham bhī samundar koī talāsh kareñ
sunā hai ret kī dīvār kuchh buland nahīñ
lahaktī shāḳh lahū meñ na kyuuñ nahā uTThe
sabā ke paas sajāvaT kī vo kamand nahīñ
jo sun sako to mujhe dhaḌkanoñ kī lai pe suno
maiñ ek saaz huuñ āvāz kā samand nahīñ
pavan kī khoj meñ parbat ko chūmtī kirno
palaT bhī aao ki pattoñ ke hoñT band nahīñ
Top Urdushayar.com