Athar Aziz

dil to barsata hai har roz hi gham ke sawan

Athar Aziz

Cuttack, Odisha, India

1944
dil to barsātā hai har roz hī ġham ke sāvan
phir bhī bujhte nahīñ yādoñ ke sulagte īñdhan
zindagī ḳhvāboñ kī chilman meñ yuuñ iThlātī hai
jaise sakhiyoñ meñ ghirī ho koī sharmīlī dulhan
ab to har roz hī ik aañch na.ī uThtī hai
ye mirā jism na ban jaa.e dahaktā madfan
is se pahle ki sabā āñkh-micholī khele
band kar do dar-e-ummīd kā har har rauzan
shab ke ā.īne meñ tasvīr-e-tamannā dekho
aks dikhlā.egā kyā tum ko sahar kā darpan
is qadar bhī to satāo na bahakte ḳhvābo
dil ta.abīr kī ruk jaa.e laraztī dhaḌkan
hai vo vahshat ki havā bhī nahīñ chaltī 'at.har'
ban gayā kitnā bhayānak ye vafā kā āñgan
Top Urdushayar.com