vo ek shaḳhs jo manzil bhī rahguzār bhī hai
nishāt-o-kaif meñ Duubā hai ġham-gusār bhī hai
majāz aur haqīqat kā aa.ina ban kar
hamārī zaat yahāñ lail bhī nahār bhī hai
tumhāre kamre meñ gulshan kā rañg-rūp milā
yahāñ to mez pe phūloñ ke saath ḳhaar bhī hai
tumhārī zaat se is dil kā rābta bhī nahīñ
tumhārī yaad meñ dil merā be-qarār bhī hai
fasīl-e-āb pe Thahrī hai chāñdnī kī dulhan
shafaq ke shāne pe zulfoñ kā ābshār bhī hai
'asad' vo kaisā tilismī vajūd rakhtā hai
usī se buġhz-o-adāvat usī se pyaar bhī hai