hañsī un kī gul aur chaman jānte haiñ
ye lab muskurāne kā fan jānte haiñ
na.e log ho tum na.ī baat jaano
mirā haal ahal-e-kuhan jānte haiñ
mubārak ho tum ko hisār-e-ḳhamoshī
zabāñ vaale tarz-e-suḳhan jānte haiñ
lahū ke jo qatre bahā.e haiñ maiñ ne
mire jism ke pairahan jānte haiñ
tum hī sāhab-e-saltanat to nahīñ ho
hukūmat ke ham bhī chalan jānte haiñ
shab-o-roz mere guzarte haiñ kaise
'asad' ye to ahl-e-vatan jānte haiñ