Asad Rizvi

kisi ko raj-dulare fareb dete rahe

Asad Rizvi

Muzaffarpur, Bihar, India

1956
kisī ko rāj-dulāre fareb dete rahe
kisī ko jaan se pyāre fareb dete rahe
yaqīn miltā rahā thartharāte hoñToñ se
magar nazar ke ishāre fareb dete rahe
tamām raat meñ chaltā rahā huuñ kāñToñ par
tamām raat sitāre fareb dete rahe
kañval khilā thā mohabbat kā jis ke paanī par
vo jhiil us ke kināre fareb dete rahe
sarāb bantā gayā pal meñ har hasīñ manzar
mujhe to saare nazāre fareb dete rahe
vafā na kartā agar ik hasīñ to baat bhī thī
'asad' ko saare ke saare fareb dete rahe
Top Urdushayar.com