talāsh-e-rāh meñ raahī kahāñ kahāñ na gayā
talab jahāñ kī use thī kabhī vahāñ na gayā
yahāñ se aage kahīñ phir ye kārvāñ na gayā
ki mere ghar se to bāhar kabhī dhuāñ na gayā
ulajhtī rah ga.iiñ maujoñ se kashtiyāñ apnī
havā thī tez magar zor-e-bādbāñ na gayā
use añdheroñ kī pahchān kyā huī logo
charāġh jis kā havāoñ ke darmiyāñ na gayā
har ek ḳhitta-e-maqtal meñ the khile ġhunche
mire lahū kā koī qatra rā.egāñ na gayā