hurūf arz talab kī sūrat guzarte lamhoñ kā ḳhvāb likhnā
hamārī āñkhoñ ke sāmne hī hamāre dil kī kitāb likhnā
kisī kī nazroñ kī narm bārish se jab bhī bhīge badan kī miTTī
sulagtī sāñsoñ ke pairahan par hadīs-e-husn-o-shabāb likhnā
hamāre hoñToñ kī tishna-kāmī tumhārī āñkhoñ se jab bhī lapke
kahīñ ye titlī kahīñ pe ġhuncha kahīñ shagufta gulāb likhnā
kabhī haqīqat se khel lenā kabhī ulajhnā majāz se tum
kabhī kisī se karam kī ḳhvāhish kabhī kisī se azaab likhnā
mujhe tum itnī bulandiyoñ par na laao ki maiñ ḳhudā nahīñ huuñ
mirī haqīqat ke hāshiye meñ mire fasāne kā baab likhnā
tum apne jiite gharoñ meñ apne gharoñ kī sāzish bhī karnā shāmil
ukhaḌte ḳhemoñ kī qīmatoñ meñ 'asad' fareb-e-tanāb likhnā