sulagtī aag thī na jalte āshiyāne the
bahut hasīn vo guzre hue zamāne the
hamārī āñkhoñ ko us kā ḳhayāl hī kab thā
ki in laboñ ko bhī kuchh roz muskurāne the
sharīk-e-bazm isī vāste huā na koī
shab-e-nashāt ka.ī ġham gale lagāne the
ye aur baat ki chehre pe ajnabiyyat thī
ta.alluqāt to un se bahut purāne the
ajiib shart thī us kī bhī ai 'asad'-rizvī
havā thī tez bahut aur diye jalāne the