na maiñ hī tanhā thā na merī rahguzar tanhā
sharīk-e-rāh rahe tum magar safar tanhā
hisār-e-rañg se bāhar sabhī nikal aa.e
ulajh ke rah ga.ī ik merī hī nazar tanhā
bahut qarīb hai ki tum se guftugū bhī ho
dayār-e-fikr meñ aate rahe agar tanhā
hurūf hī kī tarah TūTte bikharte rahe
kitāb paḌhte rahe ham jo raat bhar tanhā
ajiib tarz-e-rihā.ish hai ai 'asad' us kī
bahut dinoñ se mire saath hai magar tanhā