zaḳhm-e-dil ho ga.e nāsūr tumheñ kyā ma.alūm
tum to ho mujh se bahut duur tumheñ kyā ma.alūm
mere hoñToñ ke tabassum pe na jaanā hargiz
hāl-e-barbādī-e-majbūr tumheñ kyā ma.alūm
kab sitāroñ kā jahāñ ho gayā tārīk nazar
chāñdnī kab huī be-nūr tumheñ kyā ma.alūm
roz-o-shab kis pe baraste haiñ sitam ke patthar
dard se kaun huā chor tumheñ kyā ma.alūm
kitne ālām-o-masā.ib se guzartā huuñ maiñ
ishq ke kyā kyā haiñ dastūr tumheñ kyā ma.alūm
kyā batāoge 'asad' TuuT ke kyā bikhrā hai
tum to ho aaj bhī maḳhmūr tumheñ kyā ma.alūm