tū bhī hairān-o-pareshāñ hai thakā huuñ maiñ bhī
tere hamrāh bahut duur chalā huuñ maiñ bhī
tū bhī us but kī ziyārat kā sharaf hāsil kar
us ke qadmoñ pe ka.ī baar jhukā huuñ maiñ bhī
tū bhī masrūf khilaunoñ meñ hai yādoñ se pare
jī ke bahlāne ko kuchh DhūñD rahā huuñ maiñ bhī
terā hī charchā nahīñ shahr meñ bāzāroñ meñ
kitne aḳhbār-o-rasā.il meñ chhapā huuñ maiñ bhī
log dīvāna agar kahte haiñ to sach hai 'asad'
apne baare meñ yahī soch rahā huuñ maiñ bhī