Asad Rizvi

kahin charaghon ko nind aae kahin pe rabt-e-hijab TuTe

Asad Rizvi

Muzaffarpur, Bihar, India

1956
kahīñ charāġhoñ ko niiñd aa.e kahīñ pe rabt-e-hijāb TuuTe
kisī kī āñkhoñ kī jaage qismat kisī kā band-e-naqāb TuuTe
tumhārī āñkhoñ ke sāmne hī hamārī āñkhoñ kā ḳhvāb TuuTe
fazā kī rañgīn titliyoñ kī nazar se shāḳh-e-gulāb TuuTe
dayār-e-shab ke the sab musāfir sukūt-e-shab to sabhī ne toḌā
to muntaḳhab ik hamī hoñ kaahe hamī pe kyoñ ye azaab TuuTe
na kar jabīn-e-ḳhiyām zaḳhmī na sah azāboñ kī dhuup sar pe
na kar havāoñ kī parvarish yuuñ ki zor-āvar tanāb TuuTe
vo jis kī miTTī meñ pal rahe the shagūfe amn-o-amāñ ke logo
usī pe barsā lahū kā bādal usī pe saare azaab TuuTe
'asad' ghaTā.eñ ye tīrgī kī tabhī chhaTeñgī ki jab falak par
kisī ke māthe kā chāñd chamke kisī nazar kā shahāb TuuTe
Top Urdushayar.com