Asad Rizvi

kisi ki yaad mein jaise azab ki KHushbu

Asad Rizvi

Muzaffarpur, Bihar, India

1956
kisī kī yaad meñ jaise azaab kī ḳhushbū
bikhar rahī hai varaq se kitāb kī ḳhushbū
thake hue se musāfir kā ḳhvāb lagtī hai
aziyyatoñ ke safar meñ gulāb kī ḳhushbū
is ek ḳhat ne ka.ī hādse sunā Daale
gharoñ meñ phail ga.ī iztirāb kī ḳhushbū
na koī raqs na mahfil na koī jām-o-surūr
bhaTak rahī hai mahal meñ navāb kī ḳhushbū
tamām bhauñre libāsoñ kī tarah lipTe haiñ
badan se phūloñ ke phailī shabāb kī ḳhushbū
simaT ke phail ga.ī āñso.oñ ke saath 'asad'
hamāre ḳhat meñ tumhāre javāb kī ḳhushbū
Top Urdushayar.com