Asad Rizvi

shafaq ka nur bhi rah rang-e-aftab mein aa

Asad Rizvi

Muzaffarpur, Bihar, India

1956
shafaq kā nuur bhī rah rañg-e-āftāb meñ aa
nazar bachā ke kabhī vādī-e-gulāb meñ aa
varaq varaq na pareshān rah havāoñ meñ
hurūf-e-arz-e-tamannā hai to kitāb meñ aa
chamakte zarroñ meñ bahtā huā samundar hai
hai tujh ko shauq-e-tajassus to phir sarāb meñ aa
ḳhutūt hī ke vasīle se maiñ paḌhūñ tujh ko
kabhī savāl kī sūrat kabhī javāb meñ aa
mire gunāh meñ shāmil rahā hai tū bhī 'asad'
nibhāne ahd-e-vafā ab mire azaab meñ aa
Top Urdushayar.com