har samt pukārā hai āvāz nahīñ i
sannāTā hai sannāTā tanhā.ī hai tanhā.ī
lī fart-e-masarrat se barsāt ne añgḌā.ī
jab chāñd se chehre par kaalī sī ghaTā chhā.ī
kuchh aisī adāoñ se gulshan meñ bahār i
shabnam ne ġhazal chheḌī phūloñ ko hañsī i
dariyā ke talātum meñ maujoñ kī ye ra.anā.ī
bīmār sī kashtī meñ māñjhī kī masīhā.ī
ye merī haqīqat hai ye merī shanāsā.ī
maiñ ek tamāshā huuñ duniyā hai tamāshā.ī