ik dil kī ḳhātir itne to fitne kabhī na the
hote har ik qadam pe ye dhoke kabhī na the
phūloñ kī tāzgī meñ udāsī hai shaam kī
saa.e ġhamoñ ke itne to gahre kabhī na the
bād-e-sabā se pūchhiye āḳhir hai baat kyā
chehre guloñ ke is qadar utre kabhī na the
dāman meñ har sahar ke jo manzar hai shaam kā
naqshe jahāñ ke aise to dekhe kabhī na the
apnī taraf bhī dekhā to haa.el vo ho ga.e
āñkhoñ meñ ban ke ḳhvāb jo utre kabhī na the