vo aks-e-dil-e-āshnā chhoḌ aa.e
kahīñ bhī jo naqsh-e-vafā chhoḌ aa.e
jahāñ ahl-e-ġham naqsh-e-pā chhoḌ aa.e
diloñ ke liye rahnumā chhoḌ aa.e
ujālā diloñ meñ na jab kar sake ham
tamannā kā jaltā diyā chhoḌ aa.e
jo the kushta-e-dard un ke liye ham
nahīñ kuchh to dil kī duā chhoḌ aa.e
'farāz' is tarah zindagī hai gizārī
ki goyā koī hādsa chhoḌ aa.e