bichhaḌte dāmanoñ meñ apnī kuchh parchhā.iyāñ rakh do
sukūt-e-zindagī meñ dil kī kuchh be-tābiyāñ rakh do
kahīñ aisā na ho maiñ duur ḳhud apne se ho jā.ūñ
merī hastī ke hañgāmoñ meñ kuchh tanhā.iyāñ rakh do
mire afkār ho jaa.eñ na farsūda zamāne meñ
nigāhoñ se tum apne in meñ kuchh gahrā.iyāñ rakh do
mirā har iztirāb-e-dil nishāñ manzil kā ban jaa.e
tamannāoñ meñ merī husn kī añgḌā.iyāñ rakh do
rahe baaqī na phir suud o ziyāñ kā mas.ala koī
mire ḳhirman meñ apne haath se chiñgāriyāñ rakh do
kisī ko baḳhsh do izzat kisī ko sīm-o-zar de do
mire hisse meñ rāh-e-ishq kī rusvā.iyāñ rakh do
kisī bhī ġhair kī jānib nazar uTThe 'farāz' ab kyuuñ
nigāhoñ meñ tum us kī apnī sab ra.anā.iyāñ rakh do